Tum pocho aor
hum na batain aisay to halaat nahi.
Ik zara sa dil toota hai aor to koi baat nahi.
Kis ko khabar thi sanwlay badal bin barsay urr
jatay hain.
Sawan aaya laikin apni kismet mein barsaat nahi.
Toot gia jab dil to phir yeh saans ka naghma kia
maani.
Goonj rahi hai kiyon shehnai jab keh koi baraat
nahi.
Gham key andhery mein main tujh ko apna sathi kiyon
samjhun.
Tu to tu hai mera to saya bhi meray sath nahi.
Meray ghamgeen honay par ehbaab hain sabhi hairat
mein.
Jaisay pathar hoon meray seenay mein jazbaat nahi.
