Mujhay phir lot jana hai


Mujhay phir lot jana hai, achanak toot jana hai
Keh meray dais say aagay koi pardais mera muntazir hai
Aor merya dostoon ny meray hathoon mein safar ka zaad bhi pakra dia hai
Guzishta kal ki sab batein bhulaay ja raha hun
Par woh batein jo tery hassas chehray par numayan thein
Woh sary lafz jo ashkoon  ki soorat aankh mein utray hain.
Teray khamosh paikir mein chupay ghamnaak afsanay
Teri guftaar ki rim jhim teray raftaar kay mosam, Teray kirdaar ka moti,
Teray dil say ubalty khoon kay bay awaz say naghmay
Teray chehray kay khal o khad, nighahoon mein chupay  darya
Teray ehsaas ki shiddat, teray jazbaat ki hiddat
Main sab kuch yaad rakhun ga, main sab kuch yaad rakhun ga.
Teri khamosh awazein, meray maazi ka hasil ban kay ubhrein gi
Mujhay ab lot jany day,  mujhay ab lot jany day