Pages

Dil ko kabar bana kar jatay to acha tha

 
Dil ko kabar bana kar jatay to acha tha
Armanoon ko is mein dafna kar jatay to acha tha.
Judai ki saza bari takleef deti hai.
Mujhay diwaroon mein chunwa kar jaty to acha tha.
Tumhary baad in hasratun ka kia ho ga.
Inhein kafan pehna kar jaty to acha tha.
Yun rota chor kar na jaty mujh ko.
Meray dil ko behla kar jaty to acha tha.
Teray khatir chor saktay thay is zamany ko.
Ik baar hamein azma kar jaty to acha tha.
Yun dosti par dagh laga kar na jaty.
Rasm-e-dosti nibha kar jaty to acha tha.
Meri mayyat pay shirkat to na kar sakay laikin.
Qabar ko pholoon say saja kar  jaty to acha tha.
Hamari ankhun say neend chura kar chaly gai.
Meethi neend hamein sula kar jaty to acha tha.
Sagar ko andheron mein tanha chor chaly ho.
Deep koi jala kar jaty to acha tha